Categorized | Bollywood

Maine aisa kuch kavion se sun rakha tha - Amitabh Bachchan - full track audio

Maine aisa kuch kavion se sun rakha tha
jab ghatnayen chaati ke upar bhaar bane
jab saans na dil ko lene de aazadi se
tooti aashaon ke khandar.. toote sapne
tab apne mann ki baicheni ko chando mein sanchit kar
koi gaaye aur sunaye toh
woh mukt gagan mein udne ka sa sukh paata

lekin mera toh bhaar bana jyo ke tyoh hain
jyo ke tyoh bandhan hain
jyo ke tyoh baadhain

maine geeton ko rachkar ke bhi dekh liya


Listen to full audio track directly
weh kaahil hain jo aasman ke parde par apne mann ki tasveer banaya karte hain
karmath unke andar jeevan kee saansen bhar unko nabh se dharti par laaya karte hain
aakashi ganga se ganna seencha jaata
ambar ka taara deepak bankar jalta hain
jiske ujiyare baith hisaab kiya jaata
uske jal mein ab khayal nahi behte aate
uske drig se ab jhadti rass ki boond nahi

maine sapno ko sach karke bhi dekh liya

yeh maana maine khuda nahi mil sakta hain london ki dhan-joban garvili galiyon mein
yeh maana maine khuda nahi mil sakta hain london ki dhan-joban garvili galiyon mein
yeh maana maine uska khayal nahi aa sakta hain paris ki rasmay raaton ki rangraliyon mein
jo shayar ko hain shaane-khuda
jo shayar ko hain shaane-khuda usmein tumko shaitani gorakh dhanda dikhlayi deta
par sheikh, bhulava do unko jo bhole hain.
par sheikh, bhulava do unko jo bhole hain.
tumne kuch aisa golmaal kar rakha tha
khudh apne ghar mein nahi khuda ka raaz mila

maine kaabe ka haj karke bhi dekh liya

rindo ne mujhse kaha ke madirapaan karo
gum galat isi se hoga maine maan liya
rindo ne mujhse kaha ke madirapaan karo
gum galat isi se hoga maine maan liya
mein pyaale mein dooba
pyaala mujh mein dooba
mitron ne mere mansube ko maan diya
bando ne mujhse kaha ke yeh kamzori hain
isko chodo
apni icha ka baal dekho, tolo
maine unka kehna bhi kaan kiya
main vahi, vahi par gham hain durbaltain hain

maine madira ko peekar ke bhi dekh liya
maine madira ko taj kar ke bhi dekh liya
maine kaabe ka haj karke bhi dekh liya
maine sapno ko sach karke bhi dekh liya
maine geeton ko rachkar ke bhi dekh liya

Popularity: 33% [?]

Leave a Reply

  • Popular
  • Latest
  • Comments
  • Tags
  • Subscribe

Our Flickr Photos - See all photos

adwords_google_arbitragetechnoratismokers_die_younger

Related Sites

    Marketing Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Information